
Hindi lyrics · 2016
Woh Jahaan Lyrics
Shraddha Kapoor, Farhan Akhtar
From Rock On 2
Neela aakash jo ik samandar hai Usmein kahi koi aisa sitara bhi hai Jisme dusri ik duniya ho basi Jisme ho jaagti zindagi Par humse alag, humse judaa Ik nishaan bhi na ho jahan dard ka Jeena jahan ho nahi mushkil Koi rota na ho, chain khota na ho Ho yeh sabko yakeen Koi tanha nahin Na kabhi toote kisi ka dil Woh jahaan Koi dukh ho na ho koi gham Woh jahaan, palke na hon nam Dilo mein hona deewarein na dooriyan Woh jahan poore ho armaan Sabko ho ye pata Sab dilon mein Mohabbat ek gehri dhara bhi hai Neele aakash mein Koi aisa sitara bhi hai Neele aakash ke iss samandar ka Chaand ki kashti mein maine kiya hai safar Dhoondti ho agar tum jo duniya haseen Woh duniya hai yahi Woh yahi hai kahi Haan magar uske chehre par Nafrat ki zulm ki Ik dhool hai jam gayi Haan magar uske tann pe lipti Lalach ki hai zanjeer toh Woh duniya aate aate tham gayi Uske chehre se Yeh dhool hatt jaaye toh Uske tan se ye zanjeer kat jaaye toh Dekhna phir yahaan Is zameen par hi hogi woh duniya Woh jahan Koi dukh ho na ho koi gham Woh jahan palke na hon nam Dilon mein hona deewarein na dooriyan Woh jaha poore ho armaan Muskurati ho chehron pe ik roshni Zindagi ho mohabbat bhari zindagi
Lyrics belong to their respective authors and Zee Music Company. A line not quite right? Suggest a correction below.
Behind the song
The people behind the words
Woh Jahaan is a Hindi song from Rock On 2 (2016). It is sung by Shraddha Kapoor and Farhan Akhtar. The song has lyrics by Javed Akhtar and music by Shankar Ehsaan Loy. Starring Farhan Akhtar, Arjun Rampal, Purab K and 1 more. Music label: Zee Music Company.
A little more context
About this song
Who sang Woh Jahaan?
Woh Jahaan is sung by Shraddha Kapoor, Farhan Akhtar.
Who wrote the lyrics of Woh Jahaan?
The lyrics of Woh Jahaan were written by Javed Akhtar.
Who composed the music for Woh Jahaan?
The music of Woh Jahaan was composed by Shankar Ehsaan Loy.
Which movie or album is Woh Jahaan from?
Woh Jahaan is a Hindi song from Rock On 2, released in 2016, starring Farhan Akhtar, Arjun Rampal, Purab K.
Discussion
Sign in to join the discussion or suggest a correction.
